Main Kaisay Shikwa Karon

PoetMohammed Masood uk Submitted byMohammed masood
Text size

Main Kaisay Shikwa Karon WOH Nadan Hai Bohat
Udaas Kar K Mujhy Khud Bhi Pareshan Hai Bohat

Kehnay Ko WOH Meray Qareeb Hy Bohat Lakin
Faslay Ab Tak Humaray Darmiyan Hein Bohat

WOH Naey Zakhmon K Nishan Na Dekh Paein Ga
Dil Py Pichlay Zakhmon K Nishan Hein Bohat

Beach Bhanwar Sy Bhi Nikal Kar Kia Mila
Khamosh Sahilon Par Tufaan Hain Bohat

Main Na Bhi Chahon Tu Chali Aati Hein
Teri Yadein Mujh Par Meharbaan Bohat Hein
 

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied