Main Kya Karti

Poet: Kamran Khan By: Kamran Khan, Abu Dhabi / Karachi

Qadam Qadam Pe Naya Marhala Tha Kya Karti
Tawiil Hota Gaya Faasla Main Kya Karti 

Har Aik Shakhs Ko Tha Zaum E Rahbari Kitna
Bhatak Raha Tha Mera Qaafla Main Kya Karti

Gham-E-Hayat, Gham-E-Ishq Aur Gham-E-Janaan
Ulajh Gaya Tha Har Ik Silsala Main Kya Karti

Tumharey Sath Kisee Faisley Ki Fursat Thi
Tumharey Baad Bhala Faisla Main Kya Karti

Buhat Sambhaal K Rakkha Tha Dil Mein Raaz Tera
Woh Ban K Ashk Jo Girnay Laga Main Kya Karti

Mujhi Se Mangney Aaya Woh Le Ke Majhburi
Ab Uss Se Us Ki Jafaa Ka Gilaa Main Kya Karti

Woh Aansuoon Ki Zubaan Janta Na Tha Meri
Mujhe Bayaan Ka Na Tha Hosla Main Kya Karti

Rate it:
Views: 823
12 Nov, 2008