Add Poetry

Main Usko Bhool Jaaunga

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Dukhakar Dil Mera Wo Door Mujhe Ho Gaya Kab Ka
Faqat Aankhon Mai Ashkon Ki Lahar Baki Hai Ab Mere

Sitam Do Chaar Hote To Guzaara Kar Bhi sakta tha
Mohabbat Pyaar Aur Chahat Dobara Kar Bhi Sakta Tha

Magar Wo Mujhko Khaali kar gaya saari Daraazon se
Utha kar le gaya sab Roshni Mere Charaagon Se

Dil-e-Nadaan Ab Sun Le Main Tujhse Bhi Ye Kehta Hoon

Main Usko Bhool Jaaunga
Main Usko Bhool Jaaunga

Gham-e-selaab Ka Mousam Meri Janib Kiya jisne
Kabhi Na Chain-O-Rahat Ka Koi Lamha Diya Jisne

Alawa Zakhm Ke Jo Mujhko Kuch Na Sop Ke Guzra
Tadap Aur Bebasi Ke Rang Jisne De Diye Mujhko

Meri Hasrat Wafaon Ki Thi Usne Bas Jafaa Bakshi
Mere Aazaad Khayaalon Ko Jisne Bas Saza Bakshi

Labon Se Jisne Mere Sab Tabassum Ko Hata Dala
Meri Sehmi Peshani Pe Pareshani Ko Likh Dala

Zehan Mere Ab Sun Le Main Tujhse Bhi Ye Kehta Hoon

Main Usko Bhool Jaaunga
Main Usko Bhool Jaaunga

Kabhi Khush-Haal Lamhon Mai Wo Mere Saath Rehta Tha
Bhale Wo Door Tha Mujhse Phirr Bhi Paas Rehta Tha

Mohabbat Ki Humesha Guftgoo Mai Shaam Hoti Thi
Mera Har Din Meri Har Raat Usi Ke Naam Hoti Thi

Wo Kehti Thi Umar Bhar Main Wafaein Aapko Dungi
Namaazein Main Padhungi Aur Duaaein Aapko Dungi

Humesha Mere Honton Pe Rehega Aap Hi Ka Naam
Karungi Main Humesha Aapki Wafaaon Ka Ehatraam

Usi Dil Ki Dulaari Ne Dil Ko Dil-e-Banzar Bana Dala
Mere Gulshan Ke Phoolon Ko Aji Khanjar Bana Dala

Wahi Khanjar Mere Dil Aur Jigar Ko Aaj Chubhte Hain
Usi Gulshan Mai Ab Phoolon Ki Jagha Nashtar Nikalte Hai

Meri Masoom Duniya Ko Zehar Ka Jaam Kar Dala
Dil-e-Zameedaar Ko Usne Mere Neelaam Kar Dala

Lagakar Aag Chokhat Pe Mujhe Ghar se Kiya Beghar
Karega Kya Mohabbat Mai Gaya Wo Mujhse Ye Kehkar

Junoon Mere Ab Sun Le Main Tujhse Bhi Ye Kehta Hoon

Main Usko Bhool Jaaunga
Main Usko Bhool Jaaunga

Rate it:
Views: 742
14 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets