Add Poetry

Main Wo Sari

Poet: Akash By: Akash, karachi

Main Wo Sari Batein Hawaoun Sey Kah Doun
Jo Aankoun Hi Aankoun Main Hum Ney Kahi Hain
Esharoun Esharoun Main Hum Ney Suni Hain
Key Ye Aatey Jaatey Howe Naram Jhounkey
Har Ek Rastey Pe Meri Raah Rookein
Kabhi Mery Baloun Sey Kajra Gira Ker
Kabhi Mery Shaney Ka Palloo Hila Ker
Mujhay Is Terhan Chairtey Hain Key Jesay
Wo Sab Jantey Houn
Ager Tum Kaho Tu
Main Apni Afsurda Dil Key Fasaney
Umaadtey Howe Badaloun Ko Suna Doun
Fasaney Jo Kamushioun Ney Suney Hain
Jinhain Sun Key Dewar Wo Dar Ro Deyai Houn
Key Ye Raas Rasiyan Ye Ghung Bhawar Badal
Chupaye Howe Is Aamrat Ki Chagull
Garaj Ker Dara Ker Meray Gher Pey Chaa Ker
Mujhay Is Terhan Dekhtey Hain Key Jesy
Wo Sab Jantey Houn
Ager Tum Kaho Tu
Main Apni Kahani Samandar Sey Kaah Doun
Samander Humarey Junoun Ki Alamat
Samander Humarey Sakoon Ka Nisshan Bhi
Samander Ki Takat Bhi Wasaat Bhi Jahan Bhi
Jabhi Tu Samander Key Veran Gooshey
Chatanoun Ki Palkoun Key Namkeen Katrey
Wo Khood Ro Biyoun Key Aazarda Saaye
Cheekhti Zamenoun Key Maayous Charey
Mujhay Is Terhan Chatey Hain Key Jesy
Wo Saab Jantey Houn

Rate it:
Views: 814
20 Apr, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets