Man Haqeeqat Houn Samajte Han Woh Afsaana Mujhe
Poet: Mohsin Shaikh By: Mohsin Shaikh, HyderabadMan Haqeeqat Houn Samajte Hain Woh Afsaana Mujhe
 Khud Jalaatey Hain Bana Kar Apna Parwaana Mujhe
 
 Gardash-E-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Batein Kare
 Gham K Toofaanoun Se B Aata Hai Takraana Mujhe
 
 Un Se Un Ki Bazm Man Itna Hi Keh K Uth Gaya
 Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veerana Mujhe
 
 Janey Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha
 Wo Kar Gaya Sarey Shanasaoun Se Be-Gaana Mujhe
 
 Aise Chhup Chhup Kar Kahan Tak Zehmat-E-Jalwa- Gari
 Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhe
 
 Meri Tark-E-May-Kashi Per Meri Har Tauba K Baad
 Ehtiraaman Leney Aaya Meer-E-May-Khaana Mujhe
 
 Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-E-Riwayat He Diya
 Mere He Khoon-E-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhe
 
 Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howe Mohsin
 Hogay Rukhsat Duaen De Kr Parwana Mujhe







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 