Keun Raat Ko Tanha Sarkon Par
Tum Gum Sum Gum Sum Phirtay Ho?
Taron Say Batein Karty Ho?
Keun Daekh K Do Urtay Panchi
Tum Thandi Aahien Bhart Ho?
Aur Pakein Geli Karty Ho?
Keum Kefay K Ik Goshay Mein
Khamosh Say Bathy Rahty Ho?
Aur Dhemain Dhemain Jalty Ho?
Keun Hath Ki In Rekhoun Ko
Tum Gour Say Dekha Karty Ho ?
Aur Dard Sahefay Likhty Ho?
Ik Baat Tum Mari Mano Gay ?
Kaho Mano Ga…
Jo Ham Kah Dein Wo Kar Lo Gay?
Kaho Kar Loun Ga…
Tu Utho Aur Phir Shave Kro
Aur Madhar Madhar Sety Par
Tum Payra Payra Geet Kaho
Ye Naye Kapray Pahan Lo Tum
Aur Khushbo Ka Sapry Kar Lo
Tai Ki Knot Ko Durat Karo
Aur Jotoun Ko Chamka Lo Tum
Phir...
Phir Asi Mahfil Mein Jana
Jahan Lazmi Ho Us Ka Aana
Tum Us Ki Janab Dakhna Mat
Youn Jasay Wo Aya Hi Nahein
Tum Us Ki Janab Dakhna Mat
Youn Jasay Wo Aya Hi Nahein
Tum Hans Mukh Sundar Cheroun Main
Dilchaspi Lo Aur Piar Karo
Tum Apny Sachy Jazboun Ka Iqra Karo
Izhar Kar
Do Char Latifay Achy Say
Tum Mehfil Mein Lurkha Deyna
Aur Hansty Bastay Loglon Mein
Bas Apna Dard Sula Daena
Tum Naye Kisi Sathi K Sang
Phir Hansty Hanst Chal Parna
Jab Samna Us Say Ho Jay
Bus Aankhoun Say “Helo” Kahna
Haan Is Dil Par Pathar Rakh Lyna
Aur Ankhoun Ko Samjha Layna
Kuch Arsy Mein Tum Dekho Gay
Wo Rat Ko Tanha Sarkon Par
Ab Gum Sum Gum Sum Phirty Hein
Taroun Say Batein Karty Hain
Wo Dakh K Do Urty Panchi
Ap Thandi Aahein Bharty Hein
Aur Palkin Geli Karty Hain
Wo Hath Ki In Rekhoun Ko Ab Gour Say Dekha Karty Hain
Aur Dhemay Dhemay Jalty Hain
====
Selection From Book Baadban Kanch Ka By Rehan Anjum