Add Poetry

Me Ne Saalon Ka Sakun Jis Ke

Poet: MUHAMMAD SAQIB MUNIR HASIL By: MUHAMMAD SAQIB MUNIR HASIL, LAHORE

Me Ne Saalon Ka Sakun Jis Ke Naam Kar Dia Weo Ab Nahi Raha
Chandani Roz Jis Ke Liye Apna Seena Jalati Hai Wo Ab Nahi Raha

Jo Naam Bina Arzoo Ke Arzoo Ban Ke Honto Pe Aata Tha
Ke Ab Palkon Pe Khowab Sajane Ka Kya Faida Ke Woh Ab Nahi Raha

Dil Ki Searihion Par Jab Bhi Hum Ne Qadam Rakha
Ke Agla Qadam Na Rakh Sake Ke Woh Ab Nahi Raha

Chahat E Wasl Ab Waqt Ke Pinjre Me Qaid Hai
Deeadar Karen To Kis Ka Karen Ke Ab Woh Nai Raha

Aab E Gham Jab Aankhon Se Behne Laga
To Wafa Ki Nigahon Me Kaise Ghoren Ke Wo Ab Nahi Raha

Jab Dukhun Ke Bazar Me Khushian Fazul Tehrin
To Musarat Ke Qaseedy Parh Kar Kya Karen Ke Woh Ab Nahi Raha

Jab Yad Mosam E Bahar Me Dhanak Ban Ke Ubhri Hasil(Takhalus)
To Qabaye Qoas E Qazah Pehn Kar Kya Karen Ke Woh Ab Nahi Raha

Rate it:
Views: 453
05 Nov, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets