Mehdi Hassan Ghazals Lyrics
Mehdi Hassan Ghazals Lyrics is best way to express your words and emotion. Check out the amazing collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Mehdi Hassan Ghazals Lyrics that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Mehdi Hassan Ghazals Lyrics compilation that offers an individual to show the sentiments through words.
wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah
kise khabar thi barhegi kuchh aur tariki
chupega wo kisi badli mein chandni ki tarah
barha ke pyas meri us ne hath chor diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah
kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
Ham Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Wale Bi Rehte Hain
Beet Gya Sawan Ka Mahena Mosam Ne Nazrain Badlen
Lekin In Payasi Aankhon Se Ab Tak Aansoo Behte Hain
Aik Hmain Awara Kehna Koi Bara Ilzam Nahi
Dunya Wale Dil Walon Ko Aur Bohat Kuch Kehte Hain
Jin Ki Khatar Shehr Bi Chora Jin Ke Liye Badnaam Hoye
Aaj Wohi Ham Se Begane Begane Se Rehte Hain
Wo Jo Abi Is Rah Guzar Se Chak Greban Guzra Tha
Us Awara Dewane Ko Jalib Jalib Kehte Hain
Vasl hai aur firaq taari hai,
Jo guzari na ja saki hum se,
Hum ne woh zindagi guzari hai,
Nighare kya huye ke logon pr,
Apna saaya bhi ab to bhari hai,
Bin tumhare kabhi nahin ayi,
Kya meri neend bhi tumhari hai,
Aap mai kaise aaon main tujh bin,
Saans jo chal rahi hai aari hai,
Us se kahiyo ke dil ki galiyon main,
Raat din teri intezari hai,
Hijr ho ya visaal ho kuch ho,
Hum hain aur us ki yadgari hai,
Ik mehak samt-e-dil se aayi thi,
Main yeh samjha teri sawari hai,
Hadson ka hisab hai apna,
Warna har aan sab ki baari hai,
Khush rahe tu ke zindagi apni,
Umar bhar ki umeed-vaari hai..
تم نے ہمیں بھلا دیا ہم نہ تمہیں بھلا سکے
تم ہی نہ سن سکے اگر قصۂ غم سنے گا کون
کس کی زباں کھلے گی پھر ہم نہ اگر سنا سکے
ہوش میں آ چکے تھے ہم جوش میں آ چکے تھے ہم
بزم کا رنگ دیکھ کر سر نہ مگر اٹھا سکے
رونق بزم بن گئے لب پہ حکایتیں رہیں
دل میں شکایتیں رہیں لب نہ مگر ہلا سکے
شوق وصال ہے یہاں لب پہ سوال ہے یہاں
کس کی مجال ہے یہاں ہم سے نظر ملا سکے
ایسا ہو کوئی نامہ بر بات پہ کان دھر سکے
سن کے یقین کر سکے جا کے انہیں سنا سکے
عجز سے اور بڑھ گئی برہمی مزاج دوست
اب وہ کرے علاج دوست جس کی سمجھ میں آ سکے
اہل زباں تو ہیں بہت کوئی نہیں ہے اہل دل
کون تری طرح حفیظؔ درد کے گیت گا سکے
Ham Charaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain
Sham.A Jis Aag Men Jalti Hai Numa.Ish Ke Liye
Ham Usi Aag Men Gumnam Se Jal Jaate Hain
Bach Nikalte Hain Agar Atish-E-Sayyal Se Ham
Shola-E-Ariz-E-Gulfam Se Jal Jaate Hain
Khud-Numa.I To Nahin Sheva-E-Arbab-E-Vafa
Jin Ko Jalna Ho Vo Aram Se Jal Jaate Hain
Rabt-E-Baham Pe Hamen Kya Na Kahenge Dushman
Ashna Jab Tire Paigham Se Jal Jaate Hain
Jab Bhi Aata Hai Mira Naam Tire Naam Ke Saath
Jaane Kyuun Log Mire Naam Se Jal Jaate Hain
Ye Dhuan Sa Kahan Se Uthta Hai
Gor Kis Diljale Ki Hai Ye Falak
Shola Ik Sub.H Yaan Se Uthta Hai
Khana-E-Dil Se Zinhar Na Ja
Koi Aise Makan Se Uthta Hai
Naala Sar Khinchta Hai Jab Mera
Shor Ik Asman Se Uthta Hai
LaḌti Hai Us Ki Chashm-E-Shokh Jahan
Ek Ashob Vaan Se Uthta Hai
Sudh Le Ghar Ki Bhi Shola-E-Avaz
Duud Kuchh Ashiyan Se Uthta Hai
Baithne Kaun De Hai Phir Us Ko
Jo Tire Astan Se Uthta Hai
Yuun Uthe Aah Us Gali Se Ham
Jaise Koi Jahan Se Uthta Hai
Ishq Ik 'Mir' Bhari Patthar Hai
Kab Ye Tujh Na-Tavan Se Uthta Hai
Jaisi Ab Hai Tiri Mahfil Kabhi Aisi To Na Thi
Le Gaya Chhin Ke Kaun Aaj Tira Sabr O Qarar
Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi
Us Ki Añkhoñ Ne ḳhuda Jaane Kiya Kya Jaadu
Ki Tabi.At Miri Maa.Il Kabhi Aisi To Na Thi
Aks-E-Ruḳhsar Ne Kis Ke Hai Tujhe Chamkaya
Taab Tujh Meñ Mah-E-Kamil Kabhi Aisi To Na Thi
Ab Ki Jo Rah-E-Mohabbat Meñ Utha.I Taklif
Saḳht Hoti Hameñ Manzil Kabhi Aisi To Na Thi
Pa-E-Kubañ Koi Zindañ Meñ Naya Hai Majnuñ
Aati Avaz-E-Salasil Kabhi Aisi To Na Thi
Nigah-E-Yar Ko Ab Kyuuñ Hai Taghaful Ai Dil
Vo Tire Haal Se Ghafil Kabhi Aisi To Na Thi
Chashm-E-Qatil Miri Dushman Thi Hamesha Lekin
Jaisi Ab Ho Ga.I Qatil Kabhi Aisi To Na Thi
Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar
ḳhu Tiri Hur-Shama.Il Kabhi Aisi To Na Thi
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuchh To Kaho
Kahin To Bahr-E-ḳhuda Aaj Zikr-E-Yar Chale
Kabhi To Sub.H Tire Kunj-E-Lab Se Ho Aghaz
Kabhi To Shab Sar-E-Kakul Se Mushk-Bar Chale
Bada Hai Dard Ka Rishta Ye Dil Gharib Sahi
Tumhare Naam Pe A.Enge Gham-Gusar Chale
Jo Ham Pe Guzri So Guzri Magar Shab-E-Hijran
Hamare Ashk Tiri Aqibat Sanvar Chale
Huzur-E-Yar Hui Daftar-E-Junun Ki Talab
Girah Men Le Ke Gareban Ka Taar Taar Chale
Maqam 'Faiz' Koi Raah Men Jacha Hi Nahin
Jo Ku-E-Yar Se Nikle To Su-E-Dar Chale
Aḳhir Is Dard Ki Dava Kya Hai
Ham Hain Mushtaq Aur Vo Be-Zar
Ya Ilahi Ye Majra Kya Hai
Main Bhi Munh Men Zaban Rakhta Huun
Kaash Pūchho Ki Mudda.A Kya Hai
Jab Ki Tujh Bin Nahin Koi Maujūd
Phir Ye Hangama Ai ḳhuda Kya Hai
Ye Pari-Chehra Log Kaise Hain
Ġhamza O Ishva O Ada Kya Hai
Shikan-E-Zulf-E-Ambarin Kyuun Hai
Nigah-E-Chashm-E-Surma Sa Kya Hai
Sabza O Gul Kahan Se Aa.E Hain
Abr Kya Chiiz Hai Hava Kya Hai
Ham Ko Un Se Vafa Ki Hai Ummid
Jo Nahin Jante Vafa Kya Hai
Haan Bhala Kar Tira Bhala Hoga
Aur Darvesh Ki Sada Kya Hai
Jaan Tum Par Nisar Karta Huun
Main Nahin Janta Dua Kya Hai
Main Ne Maana Ki Kuchh Nahin 'Ġhalib'
Muft Haath Aa.E To Bura Kya Hai
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Mile
Ab Ke Hum Bichhde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Mile
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitaabon Mein Mile
Tuu Khudaa Hai Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa
Dono Insaan Hain To Kyon Itne Hijaabon Mein Mile
Gham-E-Duniyaa Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nashaa Badtaa Hai Sharaben Jo Sharaabon Mein Mile
Aaj Hum Daar Pe Khenche Gaye Jin Baaton Par
Kyaa Ajab Kal Vo Zamaane Ko Nisaabon Mein Mile
Ab Na Vo Main Hoon, Na Tu Hai Na Vo Maazi Hai Faraaz
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Mile
Jaise Bichhade Huye Kabe Men Sanam Aate Hain
Ik Ik Kar Ke Huye Jaate Hain Tare Raushan
Merii Manzil Kii Taraf Tere Qadam Ate Hai.N
Raqs-E-May Tez Karo, Saaz Kii Lay Tez Karo
Su-E-Maikhana Safiraan-E-Haram Ate Hain
Kuch Hamin Ko Nahin Ehasan Uthane Kaa Dimaag
Vo To Jab Aate Hain Mail-Ba-Karam Aate Hain
Aur Kuchh Der Na Guzare Shab-E-Furqat Se Kaho
Dil Bhii Kam Dukhataa Hai Vo Yaad Bhii Kam Aate Hain
Us Ke Baad Aaye Jo Azaab Aaye
[Azaab=Trouble, Difficulty]
Baam-E-Miinaa Se Maahataab Utare
Dast-E-Saaqii Me.N Aaftaab Aaye
Har Rag-E-Khuu.N Me.N Phir Charaagaa.N Ho
Saamane Phir Wo Benaqaab Aaye
Umr Ke Har Waraq Pe Dil Ko Nazar
Terii Meher-O-Wafaa Ke Baab Aaye
Kar Rahaa Thaa Gam-E-Jahaa.N Kaa Hisaab
Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye
Na Gaii Tere Gam Kii Saradaarii
Dil Me.N Yuu.N Roz Inqalaab Aaye
Jal Uthe Bazm-E-Gair Ke Dar-O-Baam
Jab Bhii Ham Khaanamaa.N_Kharaab Aaye
Is Tarah Apanii Khamashii Guu.Njii
Goyaa Har Simt Se Jawaab Aaye
'Faiz' Thii Raah Sar Basar Ma.Nzil
Ham Jahaa.N Pahu.Nche Kaamayaab Aaye
خاک ایسی زندگی پہ کہ‘ پتھر نہیں ہوں میں
کیوں گردشِ مدام سے گھبرا نہ جائے دل؟
انسان ہوں‘ پیالہ و ساغر نہیں ہوں میں!
یا رب! زمانہ مجھ کو مٹاتا ہے کس لیے؟
لوحِ جہاں پہ حرف مکرر نہیں ہوں میں
حد چاہیے سزا میں‘ عقوبت کے واسطے
آخر گناہگار ہوں‘ کافر نہیں ہوں میں
کس واسطے عزیز نہیں جانتے مجھے؟
لعل و زمّرد و زَر و گوہر نہیں ہوں میں
رکھتے ہو تم قدم میری آنکھوں سے کیوں دریغ؟
رتبہ میں مہر و ماہ سے کمتر نہیں ہوں میں
کرتے ہو مجھ کو منعِ قدم بوس کس لیے؟
کیا آسمان کے بھی برابر نہیں ہوں میں؟
غالبؔ! وظیفہ خوار ہو‘ دو شاہ کو دعا
وہ دن تھے کہ کہتے تھے: ’’ نوکر نہیں ہوں میں‘‘
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha
Jaata Hoon Daagh-E-Hasarat-E-Hastee Liye Hue Hoon
Shamma'a_Kushta Darkhur-E-Mehfil Naheen Raha
Marne Ki 'Ei Dil Aur Hee Tadabeer Kar Ki Main
Shaayaan-E-Dast-O-Baazu-E-Qaatil Naheen Rahaa
Bararoo-E-Shash Jihat Dar-E-Aaina_Baaz Hai
Yaan Imtiaz-E-Naakis-O-Qaamil Naheen Rahaa
Waa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqaab-E-Husn
Ghair_Az Nigaah Ab Koee Haayal Naheen Raha Go Main Raha
Rahee Na Sitam Haaye Rozgaar Lekin
Tere Khayaal Se Ghaafil Naheen Raha
Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit Gayee Ki Waan
Haasil Siwaay Hasrat-E-Haasil Naheen Raha
Bedaad-E-Ishq Se Naheen Darta Magar 'Asad'
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Naheen Raha
Bharakti Aag Thi Tanhai Thi Fasana Tha
Ghamon Ne Bant Liya Mujhe Yun Apas Mein
K Jesay Mein Koi Luta Howa Khazana Tha
Yeh Kiya Chand Hi Qadmon Pe Thak K Beth Gaye
Tumhein Tu Saath Mera Door Tak Nibhana Tha
Mujhe Jo Mere Lahoo Mein Doobo K Guzra Hai
Woh Koi Ghair Nahi Yaar Ek Purana Tha
Khud Apne Hi Haath Say Usko Kaat Diya
K Jis Darakht Ki Tehni Pe Aashiyana Tha
Mehdi Hassan Ghazals Lyrics
The name of Mehdi Hassan does not need any introduction. He is known as Shahenshah e Ghazal due to his command over the delivery of lyrics. He was born in the year 1927. Mehdi Hassan age was 85 years when he died in 2012. However, Mehdi Hassan religion was Islam as he was a born Muslim. There is not much information available about Mehdi Hassan wife. However, he has 14 children. Several of Mehdi Hassan sons are also associated with the field of music.
No one can deny the soothing impact of Mehdi Hassan Ghazals and their lyrics on our lives. On the other side, from several centuries poets are utilizing the medium of Ghazals. They penned down the beautiful lyrics to deliver their message in a powerful way. When talking about the Mehdi Hassan Ghazals, lyrics are related to different topics such as the affection for the loved ones and the beauty of nature. However, the best part is the melodious voice along with lyrics that listeners hear in the form of Mehdi Hassan Ghazals. Although, each form of poetry has its own significance but Mehdi Hassan Ghazals and their lyrics are just best in this regard. Another great thing about Mehdi Hassan Ghazals lyrics is that they are written by some of the best poets in the world.
Mehdi Hassan Ghazals List
Ghazal is a popular form of poetry. However, Mehdi Hassan Ghazals lyrics in Urdu are so beautiful that they attract a reader. They are translated into different languages and Mehdi Hassan Ghazals lyrics in Hindi are the best example. Due to the soulful voice, Mehdi Hassan Bollywood songs are loved by fans. There are different portals where people can listen to the top 10 Mehdi Hassan Ghazals.
• Aaj Tu Ghair Sahi
• Aa Ke Sajda Nashin Kais Hua
• Aaye kuch abr kuch sharaab aaye
• Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Milein
• Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi tau na thi
• Dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai
• Dayam Pada Hua Tere Dar Pe Nahi Hoon Main
• Ek Bus Tu Hi Nahi Mujhse Khafa Ho Baitha
• Ek Sitam Aur Meri Jaan, Abhi Jaan Baqi Hai
• Gulon mein Rang Bhare Baad-e-Naubahar Chale
Mehdi Hassan Songs
Besides Mehdi Hassan Classical Ghazals, Mehdi Hassan Khan delivered songs for numerous films. Mehdi Hassan is attributed to bringing ghazal singing to an overall crowd. He is exceptional for his melodic examples and keeping up the trustworthiness of the ragas in an imaginative manner. Brought into the world to a melodic family, he affected ages of vocalists from assorted classes, from Jagjit Singh to Sonu Nigam. He acquired various honors and awards in his vocation and stayed the main artist of the Pakistani entertainment world alongside another contemporary playback artist Ahmed Rushdi, and it's assessed that "he sang and made soundtracks for right around 300 films. Below you can find the Mehdi Hassan songs list.
• Mujhe Turn Nazar Se
• Laga Hai Misr Ka Bazar
• Aap Ka Husn Jo Dekha
• Ye Kaghzi Phool Jaise
• Aaj Tu Ghair Sahi
• Rim Jhim Ki Barsaat Hai
• Dil Ki Baat Labon Par
• Pyar Bhare Do
• Kyun Sharabi Sharab Pita Hai
Urdu ghazals are beautifully written and easily available online. Their emotional depth makes them a favorite for poetry lovers.
- yasir , kohat
- Wed 02 Jul, 2025
I truly love ghazals the most, And Urdu ghazals are my absolute favorite. Their depth and beauty touch my heart like nothing else.
- Areeba , islamabad
- Mon 30 Jun, 2025
Urdu ghazals are my favorite form of poetry. I absolutely love reading them on this page. They always touch my heart and soul deeply.
- Amir , Lahore
- Thu 19 Jun, 2025
