Mein Apnay Haq K Liye Ab Larta Bhi Nahi Hoon
Kisi Ki Talqh Qalami Par Ab Qurta Bhi Nahi Hoon
Jo Baat Keh Doon So Keh Deta Hoon
Apni Zubaa Se Ab Mein Phirta Bhi Nahi Hoon
Zindagi Guzri Ye Andhooren Mein Apni
Kisi Charagh Ke Bujhnay Se Ab Darta Bhi Nahi Hoon
Wo Jo Aik Shaks Tha Meri Zaat Ka Mehwar
Ab Us Shaks Ka Zikr Tak Karta Bhi Nahi Hoon
Jigar Tota Jaan Looti Rooh Tak Kirchi Ho Gye Meri
Ajab Haal Hai Mera Mein Marta Bhi Nahi Hoon
Na Pa Saka Ussay Na Mukamil Mera Hijr Hua
Hath Mein Kuch Nahi Aur Kuch Karta Bhi Nahi Hoon
Shikwa To Bohat Tha Us Shakhs Se Mujh Ko
To Phir Q Us K Dar Se Uthta Bhi Nahi Hoon
Rooh Ko Teri Is Tarah Wo Tanha Kr Gya Fatima
K Jeeta Bhi Nahi Hoon Aur Marta Bhi Nahi Hoon