Add Poetry

Mein Houn B Yaa Nahi Houn

Poet: wasim ahmad malik By: zahid wasim mali, srinagar kashmir

Main Kuch Nahi ,Per Kuch To Zuroor Tha
Mein Houn B Yaa Nahi Houn

Shayid Tha,Per Shayid Nahi Tha
Mein Tha B Ya Nahi Tha

Is Raaze Wafa Ney Hyraan Kr Hi Diya
Me Muhib Tha ,Aur Dusmane Ishq B Tha

Mein Kyoun Alag Hojaoun Teri Mehfil Sey
Kya Yehan Mera Aashiyaan Nahi Tha

Mea Khana Tha Aur Mea Buhut Tha
Kya Khak Tha, Yehan Saaki Nahi Tha

Kuch To Tha Unki Nazer Ka Matlab
Mein Zaroor Tha Per Mein Nahi Tha

Kuch Apni B Sunaty Werani Per Shayid
Iskay Baray Mein Kuch Pata Nahi Tha

Kya Tha Jab Kuch Na Tha Mera
Kya Yeh Sab Kuch Bewaja Nahi Tha

Tujhe Hakikat Maloom Hain Na Duniya Ki
Tu Zinda Tha Per Kal Shab Mara Nahi Tha

Terey Dil Ki Duniya Kahan Laegayi Pal Bar
Khada Tha Jahaan Nahi ,Jahan Tha Khuda Nahi Tha

Kitni Tasali Dey Raha Hain Khud Ko
Mout Sey Zahid Tera Dil Bara Nahi Tha
 

Rate it:
Views: 501
17 Nov, 2013
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets