Mere Bachpan Ki Wo Eid
Aaj Bhi Mere Nazdeeq Se Guzarti Hai
Muskurati Hui Itrati Hui Kehkahe Lagati Hui
Bohat Kuch Kehti Hui
Mujhe Meri Nadaaniyan Ginati Hai
Mere Bachpan Ki Wo Eid
Aaj Bhi Mere Nazdeeq Se Guzarti Hai
Maine Bachpan Jo Eid Dekhi Thi
Wo Eid Eid Thi
Ab Eid Kahan
Ab To Sabr Reh Gya Hai
Khud Ko Samjhane Ka Sabr
Hasratein Dabane Ka Sabr
Mashrufiyaton Ka Sabr
Sabr Sabr Sabr Sabr
Wo Jo Eid Thi
Mujhe Aaj Bhi Yaad Aati Hai
Mere Bachpan Ki Wo Eid
Aaj Bhi Mere Nazdeeq Se Guzarti Hai
Chaand Ke Deedaar Mai
Magrib Ke Baad Ka Wo Waqt
Jab Aankhein Aasmaan Mai Chaand Ko Dhundti Thi
Chaand Ki Ek Jhalak K Liye
Meri Rooh Bhi Ye Hi Puchti Thi
Suno
Kya Eid Kal Hai
Kya Kya Aalam Tha
Mere Bachpan Ki Us Eid Mai
Ab Ki Eid Jhapki Si De Jaati Hai
Mere Bachpan Ki Wo Eid
Aaj Bhi Mere Nazdeeq Se Guzarti Hai
Khushi Ka Wo Aalam Tha Ke Subha Hote Hi
Naye Kapdo Ki Wo Poshaq
Jo Ammi Ne Apni Pasand Se Banwaai Thi
Kisi Ke Kahe Sune Bina Hi Pehan Liya Karta Tha
Khud Ko Aaine Mai Dekhta Tha
To Kisi Raja Sa Lagta Tha
Kameez Ki Pocket Chand Sikko Ka Hona
Mujhe Meri Ameeri Ka Ehsaas Dilate The
Ab Kahan Wo Chaand
Na Wo Bachpan Ki Ameeri
Na Wo Ammi Ke Diye Kapde
Aur Na Wo Eid
Ab Ki Eid Mujhe Meri Tanhaai Ka Ehsaas Kara Jaati Hai
Mere Bachpan Ki Wo Eid
Aaj Bhi Mere Nazdeeq Se Guzarti Hai.