Mere Hii Lahuu Par Guzar Auqaat Karo Ho
Mujh Se Hii Amiiro.N Kii Tarah Baat Karo Ho
Din Ek Sitam Ek Sitam Raat Karo Ho
Vo Dost Ho Dushman Ko Biii Maat Karo Ho
Ham Khaaq_Nashiin Tum Sukhan_Aaray Sar-E-Baam
Paas Aakar Milo Duur Se Kyaa Baat Karo Ho
Ham Ko Jo Milaa Hai Vo Tumhii.N Se To Milaa Hai
Ham Aur Bhulaa De.N Tumhe.N Kyaa Baat Karo Ho
Yuu.N To Muu.Nh Pher Ke Dekho Bhii Nahii.N Ho
Jab Vaqt Pa.De Hai To Madaaraat Karo Ho
Na Daaman Pe Ko_Ii Chii.Nt Na Khanjar Pe Ko_Ii Daag
Tum Qatl Karo Ho Ke Karaamaat Karo Ho
Bakane Do "Aajiz" Ko Jo Bole Hai Bake Hai
Diivaanaa Hai Diivaane Se Kyaa Baat Karo Ho