Add Poetry

Mere Papa

Poet: Rabica By: Rabica, Karachi

Kaho To Aaj Aik Azeem Insan Se Milaon Tum Ko
Basey Hain Jo Is Dunya Mein Farishtey Un Ki Pehchaan Karaon Tum Ko

Kya Bataon Tumhein Kya Kia Hai Meri Khatir Unhon Nay
Aaj Kuch Nahin Un Kay Paas Sab Kuch Luta Dia Mujh Per

Kari Mushaqqat Se Sanwardi Meri Dunya Unhon Nay
Jo Aaj Kamzor Hain Sarf Kar Kay Apni Jawani Mujh Per

Apni Zindagi Mein Apni Kami Ka Ahsas Kabhi Na Hua Mujh Ko
Kyun K Mere Papa Ne Kabhi Na Hansne Dia Is Dunya Ko Mujh Per

Samajh Kese Leta Ye Zamana Haqeer Mujh Ko
Taleem Ki Dolat De Kar Is Dunya Ko Banaya Meherban Mujh Per

Mein Samajhti Rahi Hamdard Is Dunya Ko Apna
Dar-Haqeeqat Mere Papa Ki Badolat Ye Dunya Nichawar Hoti Rahi Mujh Per

Chal Nahin Sakti Phir Bhi Ghoom Chuki Hun Sara Jahan Mein
Unhi Ki Godh Mein Jin K Lakhon Ahsan Hain Mujh Per

Dua Hai Un K Lyn Jinhein Hamesha Chup Chup Kar Rota Dekha Hai Main Nay
Ya Allah! Haraam Kar De Dosakh Ki Aag Ko Un Per

Wo Fiqr Na Karein Mein Banungi Un Kay Burhape Ka Sahara
Hogi Mere Paas Itni Dolat Jo Lutaongi Sirf Un Per

Ye Dunya Pane Ka Khuwab Nahin Dekha Hai Main Nay
Lekin Is Dunya Ko Bhi Jannat Banaongi Un Per

********(Ameen)********
 

Rate it:
Views: 989
17 May, 2022
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets