Mere Qusoor Wahan Baat Baat Par Nikle
Wo Kaisi Bazm Thi Ghaddar Motabar Nikle
Ghuroor-O-Naaz Se Zulfein Sanwaarne Waale
Too Kya Karega Agar Kham Naa Taasahar Nikle
Padi Naa Taab Unhein Hall-E- Dil Sunane Ki
Hazaron Baar Yahi Ghar Se Sochkar Nikle
Khuli Jo Aankh To Ye Inqilaab Dekha Hai
Ke Ghair Log Hi Apno Se Khoobtar Nikle
Sanwar Rahi Theen Wo Zulfein Mahak Rahi Thi Faza
Hum Unke Gham Mein Bhatakne Idhar Udhar Nikle
Wo Bewafa Hai To Phir Mujhko Sangdil Kar De
Koi Dua To Khuda Apni Kaargar Nikle
Janabe Rekhta Jo Doosron Pe Hanste Hain
Ye Dekha Hai Ke Wo Hi Khud Se Bekhabar Nikle