Add Poetry

Mere Shoq E Intezaar Ne

Poet: FayEz Abdul Aziz FayEz By: FayEz Abdul Aziz Khan, Jeddah

Use Raaston Ki Talaash Thi, Use Faaslon Ne Thaka Dia
Mere Shoq E Intezaar Ne Mere Hoslon Ko Barha Dia

Use Sab Pe Kitne Gumaan Thay Mujhe Sirf Khuda Pe Yaqeen Tha
Use Sab Se Dhokay Hi Mile Mujhe Nazr E Karam Ne Bacha Lia

Use Shoq E Dunya Raha Sada, Mujhe Aakhirat Ka Khayal Tha
Use Maang Kar Bhi Kuch Mila Main Ne Bin Kahe Sab Paa Lia

Wo Samandaron Ka Hai Baadshah Use Behr Bhi Darya Lagein
Main Ne Kaaghazon Ki Kashtiyan Bana Ke Dil Behla Lia

Mat Pooch Tujhko Kia Mila Tu Soch Tu Ne Kia Dia
Rakh Yad Ke Jana Hai Haq Jab Us Ne Tujhko Bula Lia

Is Shehr E Gunjaa'n Mein Bhi Bas Khulwat Rahi Fayez Magar
Main Ne Ek Dil E Weeran Mei Kai Mehfilon Ko Saja Lia

Rate it:
Views: 925
10 Dec, 2009
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets