Unsey Mera Khoon Ka Nai
Jaazbat Ka He SahiRishta Tw Tha.
Tham K Meri Nanhi Si Ungli Ko
Is Jahan Sy Mujhai Bachaya Tw Tha
Nam Unka Lagati Nai Apney Nam K Aagey
Par Merey Nam Ka Matlab Unhoney Bataya Tw Tha
Haan Merey Baba
Dari Thi Andheri Rat Sy Jb
Mera Matha Chum K Mujhai Sulayatw Ta
Choti Si ZidBari Si Farmaesh
Unka Nam Sbsy Pehly Yad Aaya Tw Tha
Yad Nai Bachpan Kuch Zyada
Par Unki Karak Chai Ka Lutf Ami Sy Chup K Uthaya Tw Tha
Han Merey Baba
Chalo Bachpan Gaya Hwi M Jawan
Sir P Topi Hath M Chari
Namaz Sy Louttey Hath M Kuch Or Bhi Laya Tw Tha
Darwazey Ko Khatkhataya Tha
Mano Apney Aaney Ka Ehsas Dilaya Tha
Rat K 8 Namaz-E-Isha K Bad
Apney Phon M Ek Gana Chalaya Tha
Ami Ko Thora Sataya ThaOr Shatranj Ki Bazi M Kisi Ko Haraya Tha
Haan Merey Baba
Merey Mustaqbil Ki Fiqar Ny Nend Ko Uraya Tha
Ek Khwab Bhi Sajaya Tha Meri Beti Dulhan Banegi
Kuch Sawal Bhi Unk Dil M Aaya Tha
K Meri Beri Ksey Rahegi
Haan Merey Baba
Wo Waqt Abhi Aaya Bhi Na Tha
Meney Seney Sy Unko Lagaya Bhi Na Tha
Unko Ye Batlaya Bhi Na Tha
K Aap Zaruri Ho
Achanak Sy Ek Tufan Aaya Mera Wajood Jisko Seh Na Paya
Pehly Kuch Samjh Na Aaya
Roti Awaz M Jab Kisi Ny Bataya
Haan Tmharey BABA
Haan Tmharey BABA Chal Parey Apney Safar P
Sir P TopiNaya Sout
Aab Liptey The Ek Qafan My
Wahi Musqrahat Liye
Mujhai Akela Kiye
Chaldiye Char Kandho P
Duaen Unki Aj Bhi Yad Haen Kuch Tasveeren Bhi Sath Haen
Janti Hu Aaj Bhi Unka Sir P Hath H
Haan Merey Baba