Meri Ankhon K Samandar
Poet: syed faiz ali By: syed faiz ali, karachiMeri Ankhon K Samandar Main Jalan Kaisi Hai 
 Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai 
 
 Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi 
 Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai 
 
 Baraf K Roop Main Dhaal Jain Ge Sare Rishte 
 Mujh Se Poocho K Muhabbat Main Agan Kaisi Hai 
 
 Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doon Ga 
 Musam-E-Hijar K Lehje Main Takan Kaisi Hai 
 
 Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki Rida 
 Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi Hai 
 
 Mujhe Masoom Si Pagal Ladki Pe Taras Aata Hai 
 Us Se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
 
More Sad Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 