Meri ghazal Pe Gour Zara Farmaaiye Janaab
Chand Shair Aapki Nazar Hain Sunte Jaaiye Janaab
Hasrat Hai Aapki Agar Main Baat Na Karoon
Tho Aap Khud Hii Kuch Farmaaiye Janaab
Mujhko Bada Hi Shok Hai Mehmaan-Nawazi ka
Ghar Mere Aap Bhi Kabhi To Aaiye Janaab
Ho Hii Gayi Na Aapki Ye Bhi Dua Qabool
Barbaad Hoon Main Ab To Zara Muskaaiye Janaab
Mujhse Na Ho Sakegi Ab Hifazat-e-Khayaal-e-Yaad
Jo Kuch Hai Aapka Mujhse Le Jaaiye Janaab
Mujhko Samajh Nahi Hai Huey Bewafaa Q Aap
Aap Khud Hi Mujhko Aake Zara Samjhaaiye Janaab
"ShamS" Tere Kaam Ka Ab Duniya Mai Kuch Nahi
Behtar Hai Duniya Chodd Ke Aap Jaaiye Janaab.