Meri Mohabbat Ka Bewajha

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Meri Mohabbat Ka Bewajha Tamasha Na Karo
Dil-E-Masoom Ka Haal Bura Sa Na Karo

Wafadaariyon Ka Ye Sila To Thik Nahi
Zakhm Karna Hai To Pura Karo Zara Sa Na Karo

Mujhe Roshaniyan Pasand Hain Ae Andheron Sun Lo
Meri Tanhaaiyon Ki Taraf Tum Ye Dhuan Sa Na Karo

Khabar Kya Kis Modd Pe Mil Jaaye Dushman
Uska Pakka Pata Karo Pata Sa Na Karo

Ye Kya Kam Hai "Shams" Ke Zinda Hoon Bichadd Ke Usse
Tum Ab Aur Mere Zakhamon Mai Ijafa Na Karo
 

Rate it:
Views: 352
01 Sep, 2014