Meri Zaat Zara-e-Benisha
Poet: zee By: Muhammad Zubair, MultanMeri Zaat Zara-E-Be-Nishan
 May Wo Kis Trha Say Karo Bayan
 
 Jo Kiye Gay Hen Sitam Yahan
 Sune Kon Meri Ye Dastaan
 
 Koi Hum Nasheen Hen Na Raazdan
 Jo Tha Jhot Wo Bana Such Yahan
 
 Nahi Kholi Me Ne Magar Zuban
 Ye Akela Pun, Ye Udasiyaan
 
 Meri Zindagi Ki Tarjumaan
 Meri Zaat Zara-E-Benisha
 
 Kabhi Sooni Subho May Ghomna
 Kabhi Ujrri Shamo Kodekhna
 
 Kabhi Bheegi Aankho Say Jaagna
 Kabhi Beete Lamho Ko Sochna
 
 Magar Ik Pal Hy Umeed Ka
 Hy Mujhe Khuda Ka Jo Aasra
 
 Na Hi Me Ne Koi Gila Kiya
 Na Hu Me Ne Di Hen Dohaiyaan
 
 Meri Zaat Zara-E-Benisha
 Meri Zaat Zara-E-Benisha
More Sad Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 