Bhohut Mukhtasar Si Hai Meri Zindagi Ki Kahani
Pyasa Sehraa Main Tarap Tarap K Mange Jaise Pani
Lafzon Se Bhala Kab Smjhay Ga Wo Nadan
Samaj Na Paye Jo Dard Ehsasat Ki Zubani
Muhabbat Lafz Parha Tha Ek Kitaab Main Kabi
Par Shayad Wo Bi Thi Koi Kitaab Ki Kahani
Zidagi Ki Justuju Main Aa Poncha Mout K Pas
Kis Qurb Main Rakha Muje Batlaa Aye Zindagani
Dard Kam Hun Na Iziyat Main Ho Inayat
Gunaah Kia Tha Muhabbat Ka Pher Dard Ki Rawani
Ujarh Sa Gaya Hai Ab Wo Sarsabz Bagh
Phoolon Ki Tarah Ki Thi Jis Ki Us Ne Nigahbani
Ab To Yaad Teri Main Ek Hi Wird Karta Hai Haroon
Ab To Subu Jani, Sham Jani, Raat Jani