Add Poetry

Meri Zindagi To Firaq Ha

Poet: peer nasir ud din nasir. By: pari, Bahawalpur

Meri Zindagi To Firaq Ha,
Wo Azal Sa Dill Main Makeen Sahi

Wo Nigah E Shouq Sa Dour Ha
Rag E Jaan Sa Lah Qreen Sahi

Humain Jaan Daini Ha Aik Din
Wo Kisi Tra Wo Kahin Sahi

Humain Ap Khainchiye Daar Par
Jo Nhi Koi To Humi Sahi

Sar E Toor Ho Sar E Hashar Ho
Humain Intazar Qbool Ha

Wo Kabhi Milain Wo Kahin Milain
Wo Kabhi Sahi Wo Khin Sahi

Na Ho Un Pa Kuch Mera Bus Nahi
K Ye Aashqi Ha Hawas Nahi

Main Unhi Ka Tha Main Unhi Ka Hoon
Wo Mere Nhi To Nhi Sahi

Mujhy Bethny Ki Jaga Mily
Meri Arzoo Ka Bharam Rhy

Teri Anjuman Main Agar Nhi
Teri Anjuman K Kareen Sahi

Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka
Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi

Humain Sajda Karne Sa Kam Ha
Meri Zindagi Ka Naseeb Ha

Nhi Door Mujh Sa Qareeb Ha
Mujhy Us Ka Gum To Naseeb Ha

Wo Agar Nhi To Nhi Sahi
Jo Ho Faisla Wo Sunaiye

Usy Hashar Par Na Uthaye
Jo Karain Gy Ap Sitam Whan

Wo Abi Sahi Wo Yhin Sahi
Unhain Daikhny Ki Jo Lo Lagi

To Naseer Daikh Hi Lain Gy Hum
Wo Hazaar Aankh Sa Door Hoon

Wo Hazaar Parda Nashi Sahi

Rate it:
Views: 1989
24 Jul, 2012
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets