Mil Geya Tha To Usey Khud Se Khafa Rakhna Tha
Dil Ko Kuch Dair To Masroof E Dua Rakhna Tha
Main Na Kehta Tha K Saanpon Se Attey Hein Raastey
Ghar Se Nikley They To Haathon Mein Aasa Rakhna Tha
Baat Jab Tark E Tualuq Pe Hi Thehri Thi To Phir
Dil Mein Ehsaas E Gum E Yaar B Kia Rakhna Tha
Daman E Moj E Hava Yun To Na Khaali Jata
Ghar Ki Dehleez Pe Koi To Dia Rakhna Tha
Kia Khabar Us K Taqub Mein Hon Kitni Sochain ?
Apna Andaz To Auron Se Juda Rakhna Tha
Chandni Bund Kuvarron Mein Kahan Utrey Gi ?
Ik Dareecha To Bharey Ghar Mein Khula Rakhna Tha
Uski Khushbu Se Sajana Tha Jo Dil Ko Mohsin
Uski Sanson Ka Laqab Moj E Saba Rakhna Tha