Add Poetry

Milla To Chehray Pay Saalo'n Ka Ghubar Thaa!

Poet: S. Sadia Amber Jilani. By: Syeda Sadia Amber Jilani., FaisalAbad, Pakistan.

Milla To Chehray Pay Saalo'n Ka Ghubar Tha
Wo Shakas Jis K Jeenay Ka Apna Miyaar Tha

Shikway Shikayetee'n Kisay Yaad Rahi Theen
Thamaa Jo Haath Uss Ka Ansowao'n Ka Anbar Tha

Guzri Tere Bagair Kis Rang Mein Na Poch
Sans Thee K Goya Koi Sharar Tha

Ulfato'n Ka Musam Mehrbaan Tha Kabhi
Wakat Bhi Kabhi Hum Pay Nisar Tha

Barbad Kar K Shehar Ko Musallay Pay Jhok Giya
Naik Tha Bohat Woh Ibaadat Guzar Tha

Ulja Hua Sa Khud Mein Routha Hua Hy Jaisay
Woh Shakas Apni Zaat Mein Ik Asrar Tha

Khamoshio'n Mein Doub Kar Jo Khud Ko Kho Giya
Muhabato'n Ka Shayed Woh Talibgar Tha

Har Qadam Be-Yakee'n Hy Har Sanas Be-Wafa
Rukhsat Hua Jo Mera Aitbar Tha

Kab Nibha Saka Hy Kisi Say Aaj Tak
Wakat To Sada Say Barra Ayaar Tha

Halaat Hi Bagawat Na Kar Gaiye Hun
Pimaa To Uss Ka Barra Mera Taraf-Dar Tha

Sanchtay Rahay Hum Jissay Khoun-E-Jigar Say
Nafrato'n Ka Mujh Say Woh Sepasalaar Tha

Yeh Dekh Kar Takleef Kuch Aur Bharr Gai
Mera Sitam-Gar Hi Mera Inhisar Tha

Hum Hi Miyaar Say Shayed K Gir Gaiye
Humaray Siwaa Woh Sab Say Wafa-Dar Tha

Toot Kar Amber! Koi Roya Tha Iss Tarha
Jaisay Kisi Tofaan Ka Koi Ataar Tha
 

Rate it:
Views: 412
09 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets