Zuban Tak Jo Na Aye Wo Muhabbat Aur Hoti Hai
Fasana Or Hota Hai Haqiqat Or Hoti Hai
Ye Mana Sheesha-E-Dil Ronak-E-Bazar Hoti Hai
Magar Jab Toot Jata Hain Tu Qeemat Aur Hoti Hai
Nigahain Jaanch Leti Hain Muhabbat Ki Adaon Ko
Chupane Se Zamane Bhar Main Shohrat Or Hoti Hai
Ye Maana Husn Ki Fitrat Buhat Nazuk Hai,
Mizaj-E-Ishaq Ki Lekin Nazakat Or Hoti Hai