Add Poetry

Mohabat Tark Ki

Poet: Mohsin Naqvi By: SAIF ASHIR, Islamabad

Mohabat Tark Ki May Nay Garaiban Si Liya May Nay
Zamanay Ab To Khush Ho Zehr Ye Bhi Pi Liya May Nay

Abhi Zinda Hoon Lekn Sochta Rehta Hoon Khilvat May
K Ab Tak Kis Tamana Kay Saharay Jee Liya May Nay

Tumhainy Apna Nahi Skta Mager Itna Bhi Kiya Kam Hai
K Kuch Mudat Haseen Khaobon K Saharay Jee Liya May Nay

Bus Ab To Daman-E-Dil Chor Do Bekaar Umeedo
Bahot Dukh Saih Liye May Nay Bahot Din Jee Liya May Nay

Aik Dard Bhari Cheekh Hoon, Nakaam Dua Hoon
Ujray Huay Maazi Ki Preshan Sada Hoon

Geeton May Samoya Hai Lahu Apnay Jigar Ka
Naghmon Kay Saharay Ye Lahoo Thook Raha Hoo

Rate it:
Views: 570
21 Apr, 2011
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets