Dard Mein Jo Dey Davaai Mohabat Ki
Wohi Hai Asl Mein Mseehai Mohabat Ki
Rangeen Kar Deti Hai Khawahishon Ke Warq
Dil Mein Phelti Hai Jab Roshnaai Mohabat Ki
Phans Jai Jo Shekaar Jaal-E-Nazri Mein
Milti Nahi Us Parinde Ko Rehaai Muhabat Ki
Jane Kioun Wo Saari Raat Roti Rehi
Abhi To Usse Ek Jalak Dekhai Mohabat Ki
Door Reh Kar Pass Aane Ki Hai Aadat Uss Ko
Kisi Dushman Ne Yeh Ada Sekhai Muhabat Ki
Ab To Dunia Bhar Se Uktaa Geya Hon Adil
Boohat Aachhi Lagti Hai Mujhe Tanhaai Muhabat Ki