Mujh Sey Kehta Tha
Poet: AANSOO By: AANSOO, KarachiWo Aksar Mujh Sey Kehta Tha
 Tum Lagti Kaanch Ki Gurya Ho
 Meray Dil Kay Gulshan Mey 
 Chehaknay Wali Chirya Ho
 Dil Baahoo’n Mey Bharnay Ko 
 Jisey Bey Chain Rehta Hay
 Per Meray Ander Ik Dar
 Mujh Sey Kehta Hay
 Meray Haathoo’n Sey Kaheen
 Tum Chhoot Na Jaao
 Zara Si Thaes Puhnchay
 Aur Tum Toot Na Jaao
 Kabhi Na Bey Khudi Mey Kaheen
 Main Aisey Beh Jaaoo’n
 Kisi Lamhay Ki Grift Ho
 Kuch Un Chaaha Sa Keh Jaaoo’n"
 Main Nay Kaha Kyun Is Qadar
 Tum Qismat Sey Dartey Ho
 Her Pal Kyun Dil-O-Dimaagh Ki 
 Ye Jang Ladtey Ho
 Phir Yun Huwa Ki Us Nay Apna
 Her Dar Suna Daala
 Yaadoo’n Kay Jism Pey Laga
 Her Zakhm Dikha Daala
 "Kay Zindagi Kay Dahaktey Rang 
 Jo Ab Tak Main Nay Hein Paaley
 Kabhi Wo Aisey Na Bhadkay
 Kay Tum Ko Jala Daaley
 Badhtey Badhtey Na Badh Jaaey 
 Tumhaarey Qurb Ki Khawhish Is Qadar
 Taqdeer Tumhay Durr Kheenchay
 Main Paas Aaon Jis Qadar
 Tou Main Nay Chun Liya Mushkil Safar 
 Aur Ye Aalam-E-Tanhaee
 Tumhay Tootta Dekhnay Sey Hay
 Piyaari Mujhay Judaee"
 Phir Na Ruka Aik Bhi Lamhay 
 Wo Meray Paas
 Aur Saath Apnay Ley Geya
 Meri Her Ik Aas
 Pehlay Tu Phir Bhi Haasil Tha
 Mujhay Uska Thoda Saath
 Her Pal Ki Aarzoo Mey Per Ab
 Reh Gaee Hoon Khaali Haath






