Add Poetry

Mujhe Maro

Poet: Gul By: Gul, delhi

Na Thi Asaan Kabhi Meri, Zindagi Mast Maula Thi
Wahi 'Gul' Aaj Keheta Hai Mujhe Maaro Mujhe Maaro

Hai Fitrat Dilruba Teri, Jo Dil Ko Doz Jaati Ho
Meri Seerat To Hai Aisi, Kuchal Daalo Mujhe Yaaron

Nashe Ki Latt Nahi Achi Mujhe Par Raas Aati Hai
K Dekho Ho Gaya Khaali, Mera Paimaana Bhar Daalo

Din The Muflisi K Wo, Tasalli Baksh Thi Raatein
Ye Aise Shauk Hai Paale Ki Ab Daakaa Kahi Daalo

K Kab Main Naam Leta Hoon, Tera O Mehefil-E-Raunak
Mat Tum Naam Mera Lo, Khatam Kissa Ye Kar Daalo

Bhala Kuch Bhi Main Kar Daalu, Duaa-E-Badd Hi Milti Hai
Na Hum Sudhre Na Badle Wo, Bahaane Se Mujhe Maaro

Sehe Ke Zulm Apno Ke, Nishaan Chehre Ke Haste The
Junoon Khud Ko Mitaane Ka, Koi Mujhko To Sambhalo

Hai Kaafir Khwaab Palko Mein, Kare Har Shab Mujhe Ghayal
Fir Palke Band Hai Karni, Ye Khanjar Chori Karwa Do

Main Sambhla Aaj Hoon Meri, Naasamjhi Thi To Bas Kal Tak
Kamaani Hai Mujhe Daulat, Thodi Mohlat To Dilwa Do

Rate it:
Views: 456
19 Feb, 2010
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets