Mukammal Jahan Ki Talaash Thi
Par Kho Bethe Wo Dhudla Sa Aashiyana
Phir Kiya Maut Ne Takaza Humse.
Gham Dekhkar Wo Bhi Kar Gayi Bahana
Subha Ki Chah Thi Humei
Par Apni Sham Kho Bethe
Khud Ko Kiya Auro Ke Hawale
Par Apna Naam Kho Bethe
Muskurate Chehre Par Aate Ye Aasu
Mushkil Hai Ab Inhe Chupana
Zamane Mai Aaye The Hum
Lekar Kayi Hasrate
Aaina Tuta Wo Hamesha
Tasavvur Jisme Kuch Karsake
Lafzo Ne Bhi Ab Saath Chora
Aankho Ko Hi Hai Ab Sab Kuch Batana
Phir Kiya Maut Ne Takaza
Gham Dekhkar Wo Bhi Kar Bahana