Na Koi Subha Sakoon Ka Hay Na Koi Sham Khushnuma Sa Hay
Hr Ek Shay Jo Manzar Me Hay Zameen Ki Apni Kasis E Saqal Me Hay
Kion Aaj Insan Khoon Khahr Ho Gaya Hay.. Nadeem..?
Ey Janwar Aaj Jo Shareef Ul Nafs Insan Ka Paykar Ho Gaya Hay
Ab Ey Roshni Na Rahi... Teri Bedari Ka Uzar Or
Ab Andhyri Raat Bhi Na Rahi.... Teri Pur Sakoon Neend Ka Uzar
Tu Alam E Neend.. Khowabon Me Bhi Chal Parta Hay
Be Hanggam Batain Sary Aam Karta Phirta Hay
Teri Shanakht Na Rahi Na Tera Mehfooz Hafza Raha
Na Teri Ankhon Me Baseerat Rahi Na Tery Amal Me Koi Ashraf Ul Seerat Ka Nishan Raha
Na Gharq Ho Jay Dunya To Keya Ho....Nadeem..
Jis Samundar K Sahil Na Ho Us Samundar Me Gharq Na Ho Jay To Keya Ho
Jis Dunya Me Insani Qadar Na Ho
Wo Dunya Doob Na Jay To Keya Ho
Aaj Zakhmon Se Choor Malala Ho Gai Hay.. To Kehty Hain Log..To Kia Ho