Bataa Kuch Tu Mujh Say Bicharrnay Ka Sabab
Diwaar-Ay-Dill Ko U Giraanay Ka Sabab
Aik Lamhay Mein Be-Manzil Kar K
Haq Say Be-Haq Mujhay Thehraanay Ka Sabab
Koi Ilzaam Lagao Koi Wajah-Ay-Nafrat Batao
Kuch Tu Ho Mujhay Roulaanay Ka Sabab
Aadi Haatho'n Ka Apnay Mujhay Banaa Kar
Naqash Naam K Meray Mitaanay Ka Sabab
Tum Say Mansoub Thee Meri Chahat Saari
Tum Nay Dekhaa Nahi Meray Ujarrnay Ka Sabab
Tum U Tu Shamil Thay Meri Rooh Mein
Kaisay Janaa Nahi Meray Bikharnay Ka Sabab
Kitnaa Dushwaar Thaa Bicharr Kar Jeena Tum Say
Tum Pochtay Kabhi Meray Marnay Ka Sabab
Bikhar Jatay Tum Bhi Meri Tarha
Samjh Patay Jo Meray Tarrapnay Ka Sabab
Tum Bhi Chahtay Jo Kisi Ko Meri Tarha
Jaan Letay Had Say Guzarnay Ka Sabab
Zindagi Teray Daaman Mein Rakhaa Kiyaa Hy
Be-Maksid Be-Wajah Mujhay Behlaanay Ka Sabab
Koi Wazeefa Koi Tadbeer Koi Duaa Batao
Koi Tu Nikalay Teray Millnay Ka Sabab
Yeh Udaasi Yeh Be-Chaini Q Hy Amber
Baat Be-Baat Aaj Ansoo Nikalnay Ka Sabab