Add Poetry

Nazuk Dill Jo Rakhtay Hun Woh Aksir Routh Jatay Hain!

Poet: S. Sadia Amber Jilani. By: Syeda Sadia Amber Jilani., FaisalAbad, Punjab, Pakistan.

Mujhay Toot Janay Do Keh Sheeshay Toot Jatay Hain
Nazuk Dill Jo Rakhtay Hun Woh Aksir Routh Jatay Hain

Uss Say Rishta Fakat Itna Ussay Chahaa Giya Dill Say
Aur Yeh Bhi Hakeekat Hy Yeh Rishtay Chout Jatay Hain

Bharam-E-Muhabat Mein Wafaa Ka Kiya Takaza Ho
Waday Sach Nahi Hotay Jafaa Mein Jhoot Jatay Hain

Bohat He Maan Ho Jin Pay Jo Ahbab Hun Dill Kay
Wohi Masoom Say Chehray Jaha'n Ko Loot Jatay Hain

Abi Ansoo Hain Ankho'n Mein Aur Weeran Hy Dill Bhi
Yeh Shehar Anjaan Hy Thehraa Ab Ghar Ko Lout Jatay Hain

Okaat-E-Bebassi Amber Koi Tofaan Hun Jaisay
Bohat Say Jazbaat Ka Aksir Ye Gala Ghount Jatay Hain

Rate it:
Views: 547
05 Jan, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets