✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Nice-Thinker
Search
Add Poetry
Poetries by Nice-Thinker
Dil
Unwaan: " Dil "
Eil-E-Naadaan Tujhe Huaa
Kyaa Hai
Aakhir Is Dard Kii Dawaa Kyaa Hai
[Mirza Ghalib]
Dil Kii Haqeeqat Arsh Kii Azamat Sab Kuchh Hai Maaloom Hamen
Sair Rahii Hai Aksar Apanii In
Paakeezaa Makaanon Men
[Mir Taqi Mir]
Bahatar To Hai Yahii Ke Na Duniyaa Se Dil Lage
Par Kyaa Karen Jo Kaam Na
Bedillagii Chale
[Zauq]
Phirate Huye Kisii Kii Nazar Dekhate Rahe
Dil Khoon Ho Rahaa Thaa Magar Dekhate Rahe
[Asar Lucknavi]
Ab Kyaa Bataaoon Main Tere
Milane Se Kyaa Milaa
Irfaan-E-Gam Huaa Mujhe Dil
Kaa Pataa Milaa
[Seemab Akbarabadi]
Dekh To Dil Ke Jaan Se
Uthataa Hai
Ye Dhuaan Saa Kahaan Se
Uthataa Hai
[Meer Taqi Meer]
Kisii Ko De Ke Dil Ko_Ii Nawaa Sanj-E-Fugaan Kyon Ho
Na Ho Jab Dil Hii Seene Men
To Phir Moonh Men Zabaan Kyon Ho
[Ghalib]
Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhii Jal Gayaa Hogaa
Kuredate Ho Ab Raakh Justajoo Kyaa Hai
[Ghalib]
Koii Mere Dil Se Poochhe Tere Teer-E-Neemakash Ko
Ye Khalish Kahaan Se Hotii Jo Jigar Ke Paar Hotaa
[Ghalib]
Dil Se Khayaal-E-Yaar Ko Taale Huye To Hain
Ham Jaan De Ke Dil Ko Sambhaale Hue To Hain
[Fani Badayuni]
Kisii Ke Jaur-O-Sitam Kaa To Ik Bahaanaa Thaa
Hamaare Dil Ko Bahar_Haal Toot Jaanaa Thaa
[Naresh Kumar Shad]
Is Kaa Ronaa Nahiin, Kyon Tum Ne Kiyaa Dil Barbaad
Is Kaa Gam Hai Ki Bahut Der Men Barbaad Kiyaa
[Josh Malihabadi]
Ik Din Kah Leejiye Jo Kuchh Hai Dil Men Aapake
Ik Din Sun Leejiye Jo Kuchh Hamaare Dil Men Hai
[Josh Malihabadi]
Le Gayaa Chhiin Ke Kaun Aaj Teraa Sabr-O-Qaraar
Beqaraarii Tujhe Ai Dil Kabhii Aisii To Na Thii
[Bahadurshah Zafar]
Dil Ko Kyaa Ho Gayaa, Khudaa Jaane
Kyon Hai Aisaa Udaas Kyaa Jaane
[Daag Dehlvi]
Dil Le Ke Muft Kahate Hain Kuchh Kaam Kaa Nahiin
Ulatii Shikaayaten Huiin Ehasaan To Gayaa
[Daag Dehlvi]
Dil Men Ab Yoon Tere Bhoole Hue Gam Aate Hain
Jaise Bichhare Hue Qaabe Men Sanam Aate Hain
[Faiz Ahmed Faiz]
Ko_Ii Aahat Ko_Ii Aawaaz Ko_Ii Chaap Nahiin
Dil Kii Galiyaan Barii Sunsaan Hai Aaye Ko_Ii
[Parveen Shakir]
Dil Naaumeed To Nahiin Naakaam Hii To Hai
Lambii Hai Gam Kii Shaam Magar Shaam Hii To Hai
[Faiz Ahmed Faiz]
Mere Dil Men Tuu Hii Tuu Hai Dil Kii Dawaa Kyaa Karoon
Dil Bhii Tuu Hai Jaan Bhii Tuu Hai Tujh Pe Fidaa Kyaa Karoon
[Unknown]
Nice-Thinker
Copy
Zulf
Bahut Mushkil Hai Duniyaa Ka Sanwaranaa
Terii Zulfon Kaa Pech-O-Kham Nahiin Hai
(Majaz Niazi)
Chheratii Hain Kabhii Lab Ko
Kabhii Rukhsaaron Ko
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe
Charhaa Rakhaa Hai
(Khwamkhah Hyderabaadi)
Chehare Pe Mere Zulf Ko Bikhraao Kisii Din
Kyaa Rooz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din
(Amjad Islam Amjad)
Neend Us Kii Hai, Dimaag Us Kaa Hai, Raaten Us Kii Hain
Terii Zulfen Jis Ke Baazoo Par Pariishaan Ho Ga_Iin
(Mirza Ghalib)
Wo Lajaaye Mere Sawaal Par Ke Uthaa Sake Na Jhukaa Ke Sar
Urhii Zulf Chehare Pe Is Tarah Ke
Shabon Ke Raaz Machal Gaye
(Majrooh Sultanpuri)
Sair-E-Bahaar-O-Baag Se Ham Ko Muaaf Kiijiye
Us Ke Khayaal-E-Zulf Se 'Dard' Kise Faraag Hai
(Khwaja Mir Dard)
Idhar Khayaal Mere Dil Mein Zulf Kaa Guzaraa
Udhar Wo Khaataa Huaa Dil Mein Pech-O-Taab Aayaa
(Bahadur Shah Zafar)
Kabhii Jo Nikhat-E-Zulf-E-Nigaar Aa_Ii Hai
Fazaa-E-Murdaa-E-Dil Men Bahaar Aa_Ii Hai
(Kausar Niazi)
Zulf-E-Barham Kii Jab Se Shanasai Huii
Zindagii Kaa Chalan Mujrimaanaa Huaa Haii
(Sagar Siddiqui)
Nakhat-E-Zulf-E-Pareshaan Daastaan-E-Shaam-E-Gham
Subah Hone Tak Isii Andaaz Kii Baaten Karo
(Firaq Gorakhpuri)
Jab Zulf Kii Kaalik Men Ghul
Jaaye Ko_Ii Rahii
Aad_Naam Sahii Lekin Gum_Naam Nahiin Hotaa
(Meena Kumari)
Tumhara Pyar Mere Gesooon Ki Uljhan Tumhare Waste Dil Ka Chirag Roshan Ho
Sahar Nazar Se Mile Zulf Leke Shaam Aaye
(Tasleem Fazli)
Pareshaan Rahii Umar Bhar Par
Na Chhoraa
Terii Zulf Ne Kaj_Adaa_Ii Kaa Dhandaa
(Zafar Gorakhpuri)
Zaraa Un Kii Shokhii To Dekhiye, Liye Zulf-E-Kham_Shudaa Haath Men
Mere Piichhe Aaye Dabe-Dabe Mujhe Saanp Kah Ke Daraa Diyaa
(Bahadur Shah Zafar)
Nice-Thinker
Copy
Yeh Gham Nhi K Tera Gham Saha Nhi Jata
Yeh Gham Nahin Ke Tera Gham Saha Nahin Jata
Sitam Yeh Hai Ke Kisi Say Kaha Nahin Jata
Jo Shakhs Sail-E-Zamana Ka Rukh Badalta Raha
Bahao Pr Bhi Ab Us Say Baha Nahin Jata
Hamesha Tark-E-Muhabbat Ka Azm Krtay Hain
Hamesha Hm Say Hi Qaaym Raha Nahin Jata
Ajab Hai Kya Tujhay Puhncha Nahin Agar Zr-E-Khwab
K Qatilon Ko Kabhi Khoonbaha Nahin Jata
Sda Say Khud Pe Raha Ikhtiar Lekin Aaj
Woh Bekali Hai K Hm Say Raha Nahin Jata
Nice-Thinker
Copy
Jab Seena Gham Say Bojhal Ho
Jab Seena Gham Se Bojhal Ho
Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana
Aur Chupke Chupke Roo Lena
Jab Aankhein Bhaari Ho Jaayen
Aur Yaad Mein Meri Bhar Aayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena
Aur Chupke Chupke Roo Lena
Jab Palken Qurb Me Mondi Hon
Aur Sab Samjhen Tum Soye Ho
Tab Chehre Par Takiya Rakh Lena
Aur Chupke Chupke Roo Lena
Yeh Duniya Zalim Duniya Hai
Yeh Baat Bohat Phelaye Gi
Tum Sab Ke Saamne Chup Rehna
Aur Chupke Chupke Roo Lena
Jab Baarish Chehra Dho Daale
Aur Ashq Bhi Bonden Lagte Hon
Woh Lamha Hargiz Mat Khona
Aur Chupke Chupke Roo Lena
Nice-Thinker
Copy
Ham Kisi Chashm e Faso0n
Ham Kisi Chshm-E-Fusoon Saaz Mein Rkhay Huay Hain
Khwab Hain, Khwab Ke Andaz Mein Rkhay Huay Hain
Taab Anjam-E-Muhabbat Ki Bhla Kya Latay
Natawan Dil Wahin, Aaghaz Mein Rkhay Huay Hain
Jltay Jaen Gay Abhi Aur Chraghon Say Chragh
Jb Teri Anjuman-E-Naaz Mein Rkhay Huay Hain
Ay Hawa ! Aur Khizaon Kay Ilawa Kya Hai
Waswasay Kion Teri Aawaz Mein Rkhay Huay Hain
Ik Sitaray Ko To Main Subh Tlak Lay Aai
Beshtar Raat Kay Aaghaz Mein Rkhay Huay Hain
Kat Kay Woh Par To Hawaon Mein Kahin Urh Bhi Gaye
Dil Yahin Hasrat-E-Prwaz Mein Rkhay Huay Hain
Hm To Hain Aab-E-Zar-E-Ishq Say Likhay Huay Harf
Baish Qeemat Hain, Buhat Raaz Mein Rkhay Huay Hain
Nice-Thinker
Copy
Hamari Yad Me Kabhi Ankhen
Humari Yad Me Kabhi Aankhen Nam Nahi Karna
Humare Bichrne Ka B Kabhi Gham Nahi Karna
Milna Bichrna Yeh Sab Taqder K Hain Khel
Magar Tum Rafaqton K Silsily Khatam Nahi Karna
Humein Shor K Chale Ho Toh Bus Itna Yad Rakhna
Humare Baad Kisi Per Aisa Sitam Nahi Karna
Sachi Mohabat Zamane Me Milti Nahi Her Kisi Ko
Tum Mohabat K Is Khazene Ko Kahen Ghum Nahi Karna
Ab Na Mil Paen Gay Tum Ko Kabhi Hum Magar
Humari Yaad Ko Apne Dil Se Kabhi Kam Nahi Karna
Nice-Thinker
Copy
Jan Ka Roag Ban Jata
Jan Ka Roag Ban Jata Aik Din Malal Us Ka
Sard Khana-E-Dil Mein Rakh Diya Khayal Us Ka
Aik Din Ki Doori Par, Khwab-E-Wasl Roshan Hai
Shab Hoei To Aay Ga Dheaan Mein Jamal Us Ka
Phool, Muskurahat Aur Chnd Hsraton Kay Sath
Poochnay Gaey Hm Bhi, Aik Roaz Haal Us Ka
Natawan Hai Kuch Dil Bhi, Kuch Swal Bemani
Toar Kar Nikal Aay Aur Woh Bhi Jaal Us Ka?
Hm Jwab Kya Detay, Khud Swal Bn Bethay
Is Qadar Achanak Tha,Hm Say Ik Swal Us Ka
Nice-Thinker
Copy
Yeh Gham Nhi K
Yeh Gham Nahin Ke Tera Gham Saha Nahin Jata
Sitam Yeh Hai Ke Kisi Say Kaha Nahin Jata
Jo Shakhs Sail-E-Zamana Ka Rukh Badalta Raha
Bahao Pr Bhi Ab Us Say Baha Nahin Jata
Hamesha Tark-E-Muhabbat Ka Azm Krtay Hain
Hamesha Hm Say Hi Qaaym Raha Nahin Jata
Ajab Hai Kya Tujhay Puhncha Nahin Agar Zr-E-Khwab
K Qatilon Ko Kabhi Khoonbaha Nahin Jata
Sda Say Khud Pe Raha Ikhtiar Lekin Aaj
Woh Bekali Hai K Hm Say Raha Nahin Jata
Nice-Thinker
Copy
Badban Khulne Se Pahle
Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna
Main Samandar Dekhti Hun Tum Kinara Dekhna
Youn Bicharna Bhi Bahut Asan Na Tha Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur K Dubara Dekhna
Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwaze Pe Chand
Ay Shab-E-Hijran Zara Apna Sitara Dekhna
Aaine Ki Ankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kya Kya Dikhaye Ga Tumhara Dekhna
Nice-Thinker
Copy
Jagaa Sakey Na Terey
Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Humarey Bakht Ki Raikha Bhi, Meer Aisi Thi
Ye Haath Chomey Gaye, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey
Jo Rutt Bhi Aai Khizaan K Safeer Aisi Thi
Wo Merey Paon Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey
Jo Mangta Usey Deti, Ameer Aisi Thi
Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Theen
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi
Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Umar Na Urti, Aseer Aisi Thi
Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam
Judaiyon Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi
Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata
Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi
Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e-Raah Diya
Teri Firagh Dili, Merey Veer Aisi Thi
Kabhi Na Chahney Walon Ka Khoon Baha Manga
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi
Nice-Thinker
Copy
Meri Zindgi Ki Kitaab
Meri Zindagi Ki Kitaab Mein Har Baab Tumhara Tha
Kahani To Meri Hi Thi, Par Kalaam Tumhara Tha
Meri Zindagi K Afsaanay Mein Log To Bohat Say The
Par Mujh Ko Jis Ki Chahat Thi Wo Naam Tumhara Tha
Jo Meri Samjh Mein Na Aa Saki Wo Soch Tumhari Thi
Jo Na Tum Ko Bata Sake Wo Ishq Hamara Tha
Akelay Hi Beh Gaye Hum Yaadon K Is Sailaab Mein
Palat K Jo Dekha To Bohat Door Kinara Tha
Nice-Thinker
Copy
Kese Aye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam
Kaisay Aaye Ga Tere Khad o Khaal Ka Mausam.?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam
Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijar Jhaila Hai.?
Ab Guzar Gaya Jaana Is Sawaal Ka Mausam
Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Main, Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam
Dil, Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam
Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad o Khaal Ka Mausam
Hum Kabhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam
Nice-Thinker
Copy
Kahin Ek Masoon Nazuk C Larki
-Kahin 1 Masoom Nazuk C Larki
Boht Khobsurat Mager Sanwali C
Mujy Apny Khuwabon Ki Banhon Me Paa Kr
Kbhi Nend Me Muskurati To HoGi
Usi Nend Me Kasmasa Kasmasa Kr
Sarhny Se Tkiye Girati To HoGi
Wohi Khuwab Din K Manderon Pe AaKr
Usy Me He Me Lubhaty To Hon Gy
Kai Saaz Senay Ki Khamoshion Me
Meri Yad Se Jhunjhanaty To Hon Gy
Wo Besakhta Dhemay Dhemay Suron Me
Meri Dhun Me Kuch Gungunati To HoGi
Chalo Khat Likhen Jee Me Aata To Ho Ga
Mager Ungliyan Kapkapati To Hon Gi
Qalam Hath Se Shoot Jata To Ho Ga
Umangen Qalam Phr Uthati To Hon Gi
Mera Nam Apni Kitabon Pr Likh Kr
Wo Danton Me Ungali Dabati To HoGi
Zuban Se Kabi Uff Nikalti To HoGi
Badan Dhemay Sy Sulagta To HoGa
Kahin K Kahin Paon Prtay To Hon Gy
Zameen Pe Dupatta Latkta To HoGa
Kabi Subh Ko Sham Kehti To HoGi
Kabi Rat Ko Din Batati To HoGi
Kahin 1 Masoom Nazuk C Larki
Bohat Khubsorat Magar Sanwali C Larki
Nice-Thinker
Copy
Ye Nam Mumkin Nhi Rhy Ga
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-E-Jaan Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya
Tou Lahoo K Dil Ka Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi Tu Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta'alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Nice-Thinker
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets