Samay Hai Ya Samay Ki Inteha Hai
Gham E Qatra Ka Qulzam Ban Gya Hai
Hadood E Waqt Se Niklay Tu Jaana
Zindgani Bi Jaisay Marhala Hai
Faraat E Zulm Main Halchal Machi Hai
Rawaan Shabbeer Sooay Karbla Hai
Issi Parday Main Pinhaan Thi Haqeeqat
Khirad Pe Jo Abhi Liptaa Huwa Hai
Meray Husn E Takhayyul Per Na Jana
Ye Lawa Hai Jo Gham Se Phat Raha Hai
Chaman Main Har Taraf Dahshat Hai Taari
Farogh E Husn Pe Pehra Laga Hai
Kahin Suqraat Ko Summ Mil Rahi Hai
Kahin Mansoor Sooli Charh Raha Hai
Ameer E Shehr Se Keh Do Faqeero
Jo Tera Hai,Hamara Bhi Khuda Hai
Nigah E Naaz Uthaay Wo Kaisay
Nazzara Tha Jo Kab Ka Kho Chuka Hai
Maseeha Say Kaho Ab Na Hi Aay
Jo Hona Tha Tamasha Ho Gya Hai
Jisay Hum Zindgi Kehtay Hain Janaan
Haeeqat Se Gumaan Ka Fasila Hai
Zameen Pe Zalzala Berpa Hai Shyd
Parinda Shakh Se Koi Gira Hai
Farshton Ne Jisay Sajda Kiya Tha
Wo Insaan Koriyon Main Bik Raha Hai