Pat Jharr Ko Jo Bahaar Ka Mosam Na Keh Sake
Wo Log Tere Sheher Main Pagal Ginay Gaye
Aye Mere Dost Phir Koi Qurbat Ka Band Baandh
Khud Mehviyat Ki Ro To Bahaa Lay Chali Mujhay
Shab Ko To Chaand Or Sitaaray Thay Saath Saath
Tehra Magar Na Koi Bhi Sooraj K Saamnay
Bijli Dara Rahi Hay Mujhe Cheekh Cheekh K
Baadal Bhi Baar Baar Lagaatay Hain Qehqahe
Bettha Hoon Phir Bhi Dayr Se Is Intizaar Main
Chaand Aaye Ga Ghattaaon Ki Deewaar Phaand K
Ujrre Gharon Main Ghoomte Saayo!!Zara Suno
Wo Qehqahe ,Wo Chaandni Se Shokh Qehqahe
Wo Fasl E Gul Ki Subha Se Khushbu Urratay Saans
Wo Sardiyon Ki Dhoop Se Chehre Kahan Gaye
Minhal Sham Jhang Ka Phera Bhi Ho Kabhi
Lahore Ki Hawa Hi Buhat Bhaagaii Tujhe