Zindagi May Har Lamha
Aas Pass Roz-O-Shab
Us K Apnay Logoo Ka
Pur Hujoom Mela Tha
Phir B Aisa Lagta Tha
Woh Bohat Akeela Tha
Bay Hissab Tanhai
Us K Sath Rehti Thi,
Aur Us K Senay May Gham Ki Aik
Aab-E-Joo Bay Kinaar Behti Thi
Raat Ki Khmoshi May
Siskiyoo Ki Aawazain
Aasmaa Say Aati Thein,
Subah Tak Jagati Thein
Aasmaa Ki Vus`Sat May
Koi Us Ka Sathi Tha
Jo Wahan Akeela Tha
Is Liye Tou Thukra Kar
Jism Ki Hadoo Ko Woh
Aasmaa Pay Ja Pohancha
Ab Nahi Akeela Woh
Yeh Tou Ho Gya Lekin
Koi Usko Batlaye
Siskiyoo Ki Aawazain
Ab Zamee Say Aati Hain
Ho Sakay Tou Lout Aaye
Is Zamee Ki Vus`Sat May
Phir Koi Akeela Hai