Dil Ik Banjar Zameen
Ki Tarah Heyoly Khata
Dekhai De Raha Hy
Jis Pe Na Khushi Ka Beej
Boya Ja Sakta Hy
Na Hi Ksi Izhar Ki
Takhlees Ki Ja Sakti Hy
Mohabat'' Chahat'' Kisi
Zumray Main Nahi Aati
Or Na Hi
Wafaa Ki Koi Umeed
Nazar Aati Hy
Aasman Khali Sa Dekhai Deta Hy
Sitaray Andhir Nagri Ky
Musafir Ho Jaty Hain
Shamein Kabhi Sohani
Nahi Rehtin
Raat Bhi Tanhai Ki
Gehri Saeton Main Khoo Jati Hy
Gulab Ki Pankhariyan Bhi
Khushbo Se Juda Juda Lagti Hain
Bahar Ka Mosum Bhi
Khzan Jaisa
Dekhai Deta Hy
Ashkon Ki Rawani Bhi
Gham Ko Kam Nahi Kr Sakti
Soch Zahen Ko
Mufloj Kr Deti Hy
Kuch Bhi Aankhon Ko
Nahi Bhata
Dil Ik Banjar Zameen
Ki Tarah Qun Ho Gia
Zara Samjha Do Mujhy
Haan Keh Do K
Banjar Zameen Pe
Kasht Kari Nahi Hoti
Phir Se Mohabat Nahi Hoti
Phir Se Dil Ko
Kisi Ki Chah Nahi Hoti
Nahi Hoti
Nahi Hoti
Nahi Hoti . . . . . .Naa