Purnam Hay Meri Aankh Zamanay Ki Chaal Per
Nochay Hein Zalimoun Ne Shaheedoun Ke Baal-O Per
Dherti Meray Wattan Ki Shramsaar Ho Gayee
Nung-E Wattan Ke Zulm Ki Gandi Misaal Per
Be-Doush Maar Dala Na Aah-O Baka Suni
Kya Guzri Ho Gi Donoun Ke Jism-E Nadhaal Per
Ruktay Nahi Hain Ashk-E Rawan Dil Pe Hay Ghubaar
Sadmaat Itnay Guzray Hein Unn Ke Visaal Per
Toota Tha Ung Ung Baddan Tar Tar Thay
Ungint Zakhm Aaye Hein Masoom Gaal Per
Rotee Tou Ho Gi Maan Jo Kitaboun Ko Dekh Ker
Gham Hay Muheet Unn Ka Kayee Mah-O Saal Per
Shamil Hein Unkay Derd Mein Arz-E Wattan Ke Log
Gher Lout Ker Na Aaye Jo, Unn Ke Malaal Per
Qandeel-E Gham Sunati Hay Woh Daastan-E Gham
Ek Chup Si Lug Gayee Hay Dil-E Khasta Haal Per
Allah Muaaf Kerna Mushiyyat Thi Kya Teri ?
Na-Haq Ka Khoon Milta Hay Zalim Ki Dhaal Per
Phirtay Hein Aam Qattel Ke Mujrim Shehar Shehar
Insaaf Likh Liya Hay Darindoun Ne Khaal Per
Tum Fateha Bhi Padhtay Ho Logoun Ko Maar Ker
Hay Hukmraan ! Teri Seyasat Kamaal Per