Ehal-E-Dil Walon Ko Gabrahat Zeb Nahi Deti
Museebat Jaise Bi Ho Unain Tabiyat Faraib Nahi Deti
Mushkalain Azmaishain Milti Hain Ehal-E-Emaan Walon Ko
Qudrat Kabi Kisi Kafir Se Imtehaan Nahi Leti
Mushklon Main He Hoti Hai Apni Pehchan Humain
Warna Shokhiyaan Kabi Pehchan Nahi Deti
Maseebton Main He Muskurana Hai Zindagi
Khushyaan Kabi Ghamon Se Juda Nahi Hoti
Aye Khuda Usay De De Mere Naam Ki Khushyaan
Suna Hai Kisi K Liye Mangi Dua Kabi Radd Nahi Hoti
Khof-o-Alam To Shamil Hain Fitrat-E-Bashar Main
Har Gham Ki Waisi Par Tabeer Nahi Hoti
Apni Duaon Main To Sirf Uski Khushyaan Mangi Haroon
Mere Lab Ki Koi Dua Us K Naam Se Khali Nahi Jati