Add Poetry

Raat Ke Pichhle Pehar Deewane Kiun Khud Ye

Poet: Umar Raahi By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Raat Ke Pichhle Pehar Deewane Kiun Khud Ye Jagte Hain ?
Raat Ki Tanhai Mein Chhup Kar Aansoo Kiun Bahate Hain ?

Kho Jati Hai Duniya Jab Khawab_E_Khargosh Mein
Ye Pagal Apna Sukh_O_Chain Kiun Lutate Hain ?

Ho Kar Sar_Ba_Sajood Siyah Raat Mein
Aakhir Kis Ko Ye Manate Hain ?

Hath Utha Kar Karte Hain Gariya_O_Zari Kiun ?
Aankh Se Ashkon Ka Dariya Kiun Ye Bahate Hain ?

Mehboob Ki Judai Ka Dar Ya Hai Yaar Se Milne Ki Aarzoo?
Koi To Raaz Hai Jo Shab Ko Hath Dua Ke Liye Uthate Hain ?

RAAHI Gham_E_Yaar Sone Nahi Deta Inn Ko Shayed
Yakh Basta Sard Raaton Mein Yaar Ko Ye Manate Hain

Rate it:
Views: 941
04 Mar, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets