Rahi Ki Rah

Poet: abdul wadood aabi. By: abdul wadood., karachi

Hum Apne Rahi Ki Rah Per Jab Nikal Padte Hain
Kabhi Hans Bhi Padte Hain,Kabhi Ro Bhi Padte Hain

Unki Behisi Mein Pyaar Tha Or Ruswai Main Izhar Tha
Ab Un Unkahi Ghazlon Per Hum Bars Padte Hain

Apne Ishq Ko Soli Pe Chadhane Ke Liye
Najane Kitne Khuwab Aag Mein Jalane Padte Hain

Wo Bichadte Waqt Mujh Se Ye Keh Gaya Tha AABI
Jab Apne Na Hoon To Marham Zakhmon Pe Khud Hi Lagaane Padte Hain
 

Rate it:
Views: 526
08 Jul, 2015