Rasm-e-Ulfat Nibhane Wo Tashrif La Rahe Hain
Apni Dunya Hamare Saath Basane Wo Aa Rahe Hain
Unka Daaman Khushyo’n Se Bhar De Aye Khuda
Ek Ghar Chodhh, Wo Dusra Ghar Sajane Aa Rahe Hain
Nazre’n Intezar Kar Rahi Hain, Khwabo’n Ki Dehleez Par
Aaghaz Ko Anjam Tak Pohchane, Wo Aa Rahe Hain
Tanhai Ke Badal Chayenge Jab Wasl Ki Raat Mein
Pyasi Zameen’n Ko Ulfat Se Mehkane, Wo Aa Rahe Hain
Barso’n Se Veera’n Thi Ye Adhuri Zindagi
In Khamosh Andhero’n Ko Mitane, Dekho Wo Aa Rahe Hain
In Khushyo’n Ke Qafilo’n Ko Na Jane Kya Ho Gaya Hai
Unki Aagosh Mein Lutne, Kitne Khazane Aa Rahe Hain
Unki Raho’n Mein Charaga’n Kiye, Baithe Hain Is Qadar
Is Ulfat Ki Shama Jalane Dekho, Kitne Parwane Aa Rahe Hain
Kitne Zawyo’n Mein Chamak Raha Hai Unka Rukh-e-Raushan
Aaino Ke Pichey Dekho, Kitne Aaine Aa Rahe Hain
Be-Khayali Mein Shakir Tumhe Ye Khayal Na Raha
Mehfil Mein Dekho Kaise, Wo Deewane-war Aa Rahe Hain