Roo-B-Roo Dar, Chaley Jaaney Key Ba'ad Aayougey
Koun Kahtaa Hai, Ki, Ab Umra Bhar Sataaougey
Naazneenoun Ki Adaaoun Kaa Kyaa Bayaan Karoon
Har Lamheyn 'Nain' Toktey Hain, Ki, 'Kab Jaaougey'
Khud Bulaayaa Thaa, Kayee Baar Bheyj Kar Qaasid
Dar Pai Haazir Hun: Kyaa Patah, Ki, Kab Bulaaougey
Maantaa Huun, Ki, Khataa Mujhsey Ho Gayee Hogee
Dour-E-Ulfat Hai: Kab Talak Wahi Duhraaougey
Saath Taahashra Raheygaa, Yeh Zarooree To Nahin
Kab Talak Saath Ho, Yeh Bhi Nahin Bataaougey
Ruk Bhi Jaayegaa Agar Chaand, To, Kitney Lamahey
Magrabee Jaw Mein Kahaan Par Patah Lagaaougey
Tamaam Dar Khuley Hain Dil Key, Na Jaaney Kab Sey
Khadey Rahogey Door, Yaa Qadam Badhhaaougey
Sadaayen Laakh Zeyhan Mein Panaah Leyteen Hain
Gazal Hai Muntazir 'Abd' Kee: Kab Sunaaougey