Add Poetry

Sabhii Ko Gham Hai

Poet: Zeeshan By: Shanzee, karachi

Sabhii Ko Gham Hai Samandar Ke Khushk Hone Kaa
Ki Khel Khatm Huaa Kashtiyaan Dubone Kaa

Na Jiskii Shakl Hai Koii Na Jiskaa Naam Hai Koii
Ek Aisii Shakl Kaa Kyuun Hamen Azl Se Intezaar Hai

Phir Kahiin Khwaab-O-Haqiiqat Kaa Tasaadum Hogaa
Phir Koii Manzil-E-Benaam Bulaati Hai Hamen

Zindagii Jaisii Tavaqqo Thii, Nahiin, Kuchh Kam Hai
Har Gharii Hotaa Hai Ehsaas Kahiin Kuchh Kam Hai

Log Sar Phor Kar Bhii Dekh Chuke
Gham Kii Diivaar Tuuttii Hii Nahiin

Is Natiije Pe Pohanchte Hain Sabhii Aakhir Men
Haasil-E-Sair-E-Jahaan Kuchh Nahiin Hairaani Hai

Markaz-E-Diida-O-Dil Teraa Tasavvur Thaa Kabhii
Aaj Is Baat Pe Kitni Hansii Aati Hai Hamen

Voh Dekh Lo, Voh Samandar Khushk Hone Lagaa
Jise Thaa Daava Merii Pyaas Bujhaane Kaa

Zamiin Terii Kashish Khiinchti Rahii Hamko
Gaye Zaruur The Kuchh Duur Mahtaab Ke

Rate it:
Views: 307
29 Nov, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets