Add Poetry

Safar-E-Zeest

Poet: Shan By: Shan, China

Kuch Safr-E-Zeest Bhi Lamba Tha
Kuch Ham Bhi Thora Sust Chaly

Kuch Ham Hi Apny Dushman Thy
Kuch Dushman Ham Ko Boht Mily

Kuch Ham Manzil Ko Bhoul Gay
Kuch Rasty Ham Ko Sakht Mily

Aur Aaj Ye Apni Halat Hai
Har Simt Andhera Chaya Hai

Har Simt Hai Chai Vairani
Har Simat Isi Ka Saya Hai

Is Dasht Main Ham Ny Kia Khoya
Is Raah Main Ham Ny Kia Paya

Jab Main Ny Is Par Ghor Kia
To Man Main Soch Ka Dip Jala

Ik Aag Si Dil Main Bharrak Uthi
Aur Aankh Main Pani Bharr Aaya

Rate it:
Views: 1876
24 Jun, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets