Add Poetry

Safar Ki Thakaan, Bimari K Bawjud

Poet: RAZAB By: junaid Ellahi, multan

Safar ki Thakaan, Bimari k Bawjud
Main ! Pedal Admi, Swari K Bawjud

Usk Sath Zor ! MashroOt Nahi Hai
Wo ! Mautbar hai, Waqt'Guzaari k Bawjud

Kuch Baten ! Tan'Badan AsoOdgi liye
Kuch Harf Faqa'kash ! Madaari k Bawjud

100 ! Qudarti Libaas, Ara'asta Kiye
Dil ! Barhna hai, Chaar'Deewari k Bawjud

Tashweeshi Nishanat se, DoOr ! Bht DoOr
Asaib'zada Saey ! Shumari k Bawjud

Mujhe Bari Aziz ! Najane Kyu Magar
Ik Zarb ! Waar me, Kaari k Bawjud

Dmagh se Gai ! Kbhi Na Muflisi
Sochon ki, Talakh ! Rez'Gaari k Bawjud

Main ! Jaan De k Bhi, Na'Mautbar Hua
"Nisf" ki Rishta'daar ! "Saari" k Bawjud

Ishq ! Bhaanp le, Zaruryaat e Husan
Nazar ki Aabru ! Khudaari ki Bawjud

Haseen MoOraten ! Na'paeydaar Hen
Daur e Kam'sini, Adakaari k Bawjud

RAZAB ! Kbhi Khula, Na Daftar e Weham
Dil me Bina Qufal, Almaari k Bawjud

Rate it:
Views: 2837
22 Apr, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets