Add Poetry

Sahar Hoony Tak

Poet: faiz kaleem jawad By: faiz kaleem jawad, dajal = d g khan

Raat Ko Raat Hi Kehna Hy Sahar Hoony Tak
Hum Bhi Jaagien Gy Sitaron K Sath Sahar Hony Tak

Ye To Qismat Ki Baat Thi Jo Tera Wada Wafa Na Ho Ska
Jalti Rahi Shamein Intzaar Mein Tery Sahar Hony Tak

Ya Ilahi Nhi Raha Hosla Mujh Mein Ab Ar Saber Kerna
Ho Jaaiey Na Woh Paraya Meri Duaown K Aser Hony Tak

Mumken Hy K Too Pighal Jaaiey Meri Halat E Zaar Ko Daikh Kr
Rahoon Ga Isi Haal Mein Main Khoon E Jiger Hony Tak

Ho Jaa'o Na Kahien Tum Udas Mujhy Apni Rahon Mein Na Pa Kr
Betha Rahon Ga Main Teri Rah Guzer Per Tery Guzer Hony Tak

Kya Khaber Kab Ye Aankhien Intzar Mein Tery Band Ho Jaien
Chala Na Jaaiey Faiz Is Duniya Se Kahien Tujhy Khaber Hony Tak

Rate it:
Views: 895
28 Feb, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets