Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqadar Sakht Tar Nikla
Para Hai Wasta Jis Se Wo Hi Zair_O_Zabar Nikla
Sabaq Deta Raha Mujh Ko Sada Roshan Khayali Ka
Usay Jab Paas Se Dekha To Khud Bhi Tang Nazar Nikla
Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahe Thay Hum
Usay Jab Chhoo Ke Dekha To Faqat Khaki Bashar Nikla
Mohabbat Ka Nasha Utra To Tab Sabit Huwa Mujh Ko FARAZ
Jise Manzil Samajhte Thay Wo Be Maqsad Safar Nikla