Shaam Raat Ka Paighaam Hoti Hai
Shumaare Ashq Main Ashq Saar Hati Hai
Rukh Ko Gham Se Ghamsaar Na Hoone Daina Aaj
Gul Samaitna Aur Gul Bikhairna Aaj
Suna Hai To Kayi Raatoon Se Soya Nahien
Ankhien Band Hoon Aaisay K Kabhi Khola Nahien
Mootiyoon Ko Ladi Main Piroona Tu
Khushbuwoon K Saath Aaj Soona Tu
Shaam Khudh Bulai Gi Rooshni Ban Kar
Chand Phath Jaye Ga Mahtaab Ka Junoon Ban Kar
Gar Tu Roya To Zamana Hansey Ga Tujh Pe
Gidgidaye Ga Magar Sukoon Na Paye Ga
Dost Sab Hain Shaam Ko Bana Tu Bhi
Sitarey Chamaktey Hain Aaj Chamak Ja Tu Bhi
Tera Rooshan Numa Saara Zamana Hoga
Saath Teray Zarra Zarra Ayyan Hoga
Bas Tujhey Shaam Ko Nibhana Hai
Hans Kar Aaj Gham Ko Galey Lagana Hai
Yun To Waqt Kisi K Liye Ruka Hi Nahien
Tu Chala Chal K Kabhi Waqt Ko Bhi Ruk Jana Hai
Shaam Phir Saath Hoogi
Zindagi Saazgaar Hoogi